Click Here

Thursday, 9 June 2016

How Not To Get Your Google Adsense Account Banned ? Full Guide

How Not To Get Your Google Adsense Account Banned ? Full Guide Hello Frinedzx,Agar aap bhi ek blogger hai aur bhi Adsense se icome... thumbnail 1 summary

How Not To Get Your Google Adsense Account Banned ? Full Guide



Hello Frinedzx,Agar aap bhi ek blogger hai aur bhi Adsense se icome kar rahe hai to aap ye jante honge ki Google Adsense apne Policies ka kitna Strict hai agar aap unke policies ko ignore ya follow nahi karoge to wo aapko ban bhi kar sakte hai.To ye post khas aap logo ke liye hai jo google adsense se earning kar rahe hai.To iss post me mai aapko ye bataunga ki kaise aap apne Google Adsense Account ko safe rakh sakte hai.

Aap ye jante hai ki Adsense sabse best way hai internet se paise kamane ke liye mera matlab hai sabhi Ad network company me se best hai.Kyu ki Adsense hame sabse jada CPC deti hai aur wo ek Contextual Ad network hai.Iska matlab ye hai ki agar aapne koi post hosting ke baare e likha hai to readers ko ads hosting ke upar hi aayenge.


To mai aapka time nahi waste karta hu jaldi se aapko bata du ki aapko kya kya karna chahiye apne Adsense account ko safe rakhne ke liye.


1. Adsense Language Support

Aapko mai ye bata du ki Google Adsense duniya ki sabhi languages ko support nahi karta hai wo sirf kuch hi Populars languages ko support karta hai jisme se hindi bhi hai.To aap ek hindi blogger hai to aap bina dare hindi me blogging kar sakte hai.Lekin aise bhi log hai jinko ye nahi pata hota hai ki Adsense sirf kuch hi languages ko support karti hai isliye wo apne language me blogging karte hai jo sayad se adsense na support karta ho Isliye unka Adsense approve hi nahi hota.


2. Maximum Ads Unit On A Page

Ye bhi bahut important hai kyu ki adsense aapko ek page me sirf kuch hi ads lagane deta hai.To Adsense policy ke mutabit aap ek page me 3 Content Units wale Ads, 3 Links Ads, aur 2 Search Box laga sakte hai.Aap ek page pe sirf ek hi Large ad laga sakte hai jaise ki 300*600 wale ads aur bhi large ads hai jaise 300*1050,970*250,750*200,580*400.To ye size ke ads aap sirf ek hi ek page pe laga sakte hai.To aap iss baat ka khas dhyan de ki aap Adsense ki Ads placemen rule ko bhi follow kare.



3. Invalid Clicks

Sabse badi galti Adsense publishers ye hi karte hai ki wo apne hi ads pe click karte hai ya dusre se karne ke liye kahte hai.Ye yaad rakhe agar aap apne ads pe invalid click karwate hai to aapki earning hogi lekin kuch der baad wo earning ghat jati hai.Aur ye hi sabse bada karan hai ki Google Adsense account banned hote hai.To agar aap bhi aisa kuch karte hai to please aisa mat karna nahi to Google Adsense ki team ko pata chalega to wo aapke Account ko banned kar denge.


4. Click Here Trick

Maine bahut se Adsense publishers ko dekha hai ki wo apne Adsense ads ke just upar ek label likhte hai Click Here jisse ki visitors unke ads pe click kare.To isse aap apne readers ko aap apne ads pe click karne ke liye encourage kar rahe hai.To Adsense ne kaha hai ki agar koi publisher apne ads pe click karwane ke liye apne visiors ko encourage karta hai kisi bhi jariye to unka adsense aacount banned kar diya jayega.To agar aap bhi aisa kuch karte hai to ye sab karna band kar dijiye.



5. Modification Of Adsense Ad Code

 Agar aap ko progamming aati hai aur aap ye sochte hai ki aap Google ke Ads code ke sath chedkhani karke apni income bada sakte hai to aap galat hai.Kyu ki Adsense ye nahi chahte hai ki uski ad code se sath koi chedkhani kare aur aisa agar koi karta hai to aap jante hai ki Adsense aapko block kar dega.




6. Linking Your Site With Spam Site

Aap agar apne post me ya kahi bhi apne blog me ksi aise website ka link add karte hai jo ki ek spam ya fake hai ya jisse Adsense Support nahi karta hai to aap bhi khatre me pad sakte hai isliye kisi bhi site ka link apne post me kahi add na kare pehle uss site ko dekh le ki wo ek genuine seite hai ki nahi.


7. Copyright Content

Sabhi Adsense publishers ye jante hai ki Adsense aapke account ko ban kar dega agar aap koi Copyright content apne site me use karte hai to.Adsense iske mamle me bhi bahut strict hai.Bahut log ye sochte hai ki wo dusro ka COntent chori kaarke apne blog me dal lenge to kuch nahi hoga.LEkin bahut kuch hoga jab unka adsense aacount band ho jayega.To mai aapko phir se kahunga ki aap kisi ka bhi kuch bhi copy na kare aur images ko freeimages site se hi le jisse ki photos kabhi copyright na ho.




8. Paid Traffic

Maine aisi bahut website dekhi hai jo ki ye kahte hai ki aap unko itna paisa do aur aapke site me itne visitors pahuchaenge.To agar aap bhi apne site ke traffic kharidte hai to Google sabse pehle aapki site ko banned kar dega.Lekin aap apne post ko Facebook ya social sites par share kar sakte hai.Aap kab bhi aisi site ka use na kare jo ye kehti hai ki wo aapka traffic increase kar degi.


9. Ads Looking Like Content

Isse mera ye matlab hai ki aapka ads content ke tarah lag raha hai.Bahut log apne aap ko smart samajte hai to wo apne post me kuch 3 char 4 photos dalte hai aur unn photos me kisi ek photo ki jagah Ad laga dete hai taki wo bhi unn photos ki tartah lage jisse ki Visitors unpar click kar sake.To maine aapko pehle hi bataya ki Adsense aapke account ko band kar sakta hai agar aap apne visitors ko ads pe click karne ke liye encourage karte hai to.



10. Site Navigation

Aap apne site ka navigation simple aur visitors ko samaj me aaye aisa rakho.Agar aapke site me kuch samaj me hi nahi aata hai matlab kuch bhi thik thak nahi hai to visitors galti se aapke ads pe click kar sakte hai jisse aapko jada invalids click milenge jisse aapka Adsense Account block bhi ho sakta hai.To apne site ka navigation thik thak rakhe aur ads ko sahi jagah lagaye aise jagah na lagaye jaha par koi bhi galti se click kar jaye nahi to wo invalid click hoga.

No comments

Post a Comment